Home Page

Photo Page

WELCOME TO FUNPLACE

 

WELCOME TO MY WEBSITE!
CLICK ON THE PICTURE TO ENTER MY WEBSITE

Please scroll down to read funny jokes


this week's jokes

hospital

aik ladka bhaga bhaga aik hospital main aya or ghabrata hua bola docter sahab dard ki dava day dain .docter nay us ladkay say poocha kay dard kahan hai?ladkay nay kaha:abhi dard nahin hai main class main fail ho gaya hoon or mairay aba mairay peechay peechay mairi khabar lainay a rahay hain...

pathar

aik admi dukan per ja kar dukandar say kahnay laga bhai jaan zara aik machar marnay ki dava day do.dukandar nay us admi ko aik box day diya admi nay ghar akar box khola to us main say 2 pathar niklay or aik padchi bhi nikli jis pay likha tha aik pathar par machar ko rakhain or doosray pathar say marain.

dukan

aik dost nay doosray dost say poocha yaar aj kal tumhara bhai kya kar raha hai?doosra dost bola us nay aik dukan kholi hai pehlay dost nay poocha kaisi chal rahi hai?doosra dost bola pata nahin..pehlay dost nay poocha kyun kya mulaqaat nahin hoti?doosra dost bola hoti hai 1 mahinay say jail main pada hai,pehlay dost nay phir poocha kyun aisa kya jurm kardiya us nay?doosra dost bola:us nay dukan hatoray say kholi thi!

kuta or insan

aik baar aik kuta baitha hua hadi kha raha tha kay aik admi nay kutay ko aik laat mari aou kuta bola kya zamana agaya hai kuta main hoon harkatain yeh kar raha hai chich chich ....

by : fariha asif






EMAIL ME



WWW.FUNPLACE.20M.COM.